Tuesday, 23 September 2014

Lahsun ka teekha achaar





Lahsun ka teekha achaar

Material – ½ kg lahsun (chhilka utra hua), 2 katori oil, 2 spoon dhaniya, 1 spoon sabut methi, 1 spoon sabut jeera , 2 chutki hing, 1 spoon lal mirch powder, salt according to taste, ½ spoon haldi powder.


Method – dhaniya, methi, jeera and hing ko sukhi kadahi me brown hone tak bhun le. Fir ise mixer me piss kar powder kar le. Dusri kadahi me ½ katori me oil garam kare and usme lahsun dale. Adha pak jane par lal mirch powder, haldi powder, salt and pise dhaniye wala powder isme milaye. Ise 5-10 min tak pakaye and thanda kare. Baki oil ko garam karke isme milaye. Taste ke liye kala jeera bhi sabut bhunkar dal sakti he. Ise kaanch ke pain me store kare.

0 comments:

Post a Comment